Monday, March 2, 2009

Kisi Ne....


Ye kisne jahan ko roshan kar diya,
ki andheri raat ko bhi poonam kar diya,
Ye kisne falak par jaadoo kar diya,
ki chandni ko chamakne par majboor kar diya..


Ye kisne hawa ko chhed diya,
ki mand bayar me ragini ko ghol diya,
Ye kisne rimjhim malhar chhed diya,
ki damakte naksh ko sarabor kar diya..


Ye kisne nadiya ka rukh badal diya,
ki jaise pyasi dharti ko bhigo diya,
Ye kisne haule se kuch kah diya,
ki jaise mann ko bahka diya..


Ye kiski aarzoo hui mit jane ki,
ki apni hasti mitane ki,
Ye kiski hasrat hui tabaah ho jane ki,
ki ye jahan aur wo jahan milane ki..