Friday, October 24, 2008

Shabd......Ek Abhivyakti

Agar mujhe shabdon ka kuch gyan hota, to shayad main bhi kuch likh paati. Kintu yadi kisi sudhaar ki sambhavna  ho, to vyakti ko apni koshish jaari rakhni chahiye. Yahi vichaar mujhe har baar anvarat prayaas ki prerna deta hai. To baat aati hai shabdon ki......


Shabd, jo ek manke ki tarah piroya ja sakta hai
Shabd, jo kisi bhi lekh mein jaan phoonk deta hai
Shabd, jo kisi bhi bhaavna ko abhivyakt karne mein saksham hai
Shabd, jo kisi ke mann ko gahrai se choote hain
Shabd, jo kisi bhi bhaasha ke nirnayak hote hain
Shabd, jo kisi vyakti ki pahchaan hote hain
Shabd, jo kisi jaadoo ki tarah kaam karte hain
Shabd, jo kabhi-kabhi jeevandayak hote hain
Shabd, jo kisi ki prerna hote hain.......

Friday, October 17, 2008

Junoon iss kadar ho ki,
kuch bhi haasil kar sake....
Pyaas aisi ho ki,
nadiya dhoondh kar hi bujhe.....
Vishwaas aisa ho ki,
ishwar ko prapt kar sake....
Nishchhalta aisi ho ki,
balak-mann se tulna kar sake....
Pavitrata aisi ho ki,
agni-pareeksha se guzar sake.....
Dhairya aisa ho ki,
dharti-ambar ke milan tak rah sake....
Kalpna aisi ho ki,
Parindon ki udaan tak jaa sake....